Shami Kabab Banane Ka Tarika Urdu Main Shami Kabab Banane Ki Tarkeeb

Shami Kabab Kaise Banaye Shami Kabab Banane Ki Vidhi


Shami Kebab Banane Ka Tarika in Urdu/Hindi


Shami Kabab

Ajza / Ingredients for Shami Kabab

Gosht : Adha Kilo
Chanay Ki Daal  : Adha Cup
Sabit Kali Mirch : 4 Adad
Namak : Hasb e Zarorat
Sabz Mirch : 6 Adad
Payaz : 2 Adad
Hara Dhaniya : Adhi Gaddi
Pudina : Adhi Gaddi
Long : 5 Adad
Daar Cheeni  : 2 Tukde
Badi Elachi : 3 Adad
Adrak aur Lehsun : 3 Tablespoon

Tarkeeb:- 

Aik pateeli mein gosht, adrak, lehsun, namak, sabit lal mirch, chanay ki daal, kali mirch, long, daar cheeni aur badi elaichi daal kar galne ke liye cholhay per charha dain. Jab achi tarah gal jaye toh nikal kar pees lain phir bareek katta hua hara dhaniya, pudina, payaz, sabz mirchain shamil kr ke gond lain phr hath ki madad se goal tikiyan bana kar fry kar lein. Mazay daar shaami kabab tayar hain. Raitay ke sath serve karen.

Comments