Malai Kofta Banane Ki Recipe In Hindi Malai Kofta Recipe In Urdu

Malai Kofta Kaise Banaya Jata Hai Malai Kofta Kaise Bante Hain?


Malai Kofta Banane Ka Tarika Tarkeeb in Urdu/Hindi

Ajza Ingreditnes for Kofta Curry


Koftay Banane Kay Liye
Paneer : 100 Gram
Hari Mirchain : 2 Adad
Corn Floor : 1/4 Cup
Kishmish : 1/4 Cup
Oil : Deep Fry Karne Kay Liye
Garvy Kay Liye
Pyaaz : 3 Adad Medium Size
Adrak Paste : 1 Teaspoon
Lehsan Paste : 1 Teaspoon
Hari Mirch : 2 Pieces
Dhaniya Pissa Hua : 1 Teaspoon
Haldi : 1 Teaspoon
Tomato Paste : 1/2 Cup
Lal Mirch Powder : 1 Teaspoon
Khoya : 1/2 Cup
Garam Masala (Pissa Hua) : 1 Teaspoon


Malai Kofa Curry Banane Ka Tarika Tarkeeb In Urdu Hindi


Aalu obal kar cheel lain aur phir inko haatho se masal dain. Hari mirchain dho lain in kay beej nikal dain aur bareek pieces mein kaat lain. Payaz cheel lain aur in kay 2 tukray kar lein cup pani mein 10 minute tak obaal lain. Zayed pani bahir nikal lain. Payaaz thandi kar lain aur inko pees kar paste bana lain. Haatho se masle hue aalo, paneer, 2 kati hui sabz mirch, corn floor aur namak ko khoob achi tarah mix kar len. In kay 16 bilkul aik jese golay banain aur in mein kishmish bhar dain. Ab Garam tail mein inko deep fry kar lain yahan tak keh thora sa rang aa jaye toh inhain nikal kar alag aik side per rakh dain. Aik karahi mein tail garam kar ke ubli hui payaaz ka paste daalain aur 5 minute tak pakain adrak paste, lehsan paste, katti hui hari mirchain, dhaniya, haldi aur lal mirch daal dain aur darmiyani aanch par thori der tak pakain aur waqfay waqfe se halate jaen, ab balai aur garam masala daa lain. Garam koftay dish mein rakh kar garnishing kar sath paish karen.

Comments